Thursday, April 1, 2010

Feelings of a Stupid common man expressed

ab nahi hota mujhse...
ab nahi hota mujhse ki khud ko samjha saku...
ashkon ke katre,khoon k ghoot pee saku.
nahi rukte ab haath jo unhe rok saku
nahi milta ab sukoon jo kuch ab soch saku.

nahin banna adarsh kisi ka yeh dil ab chahta hai
nahi banna gandhi ka bhakt yeh dil ab chahta hai
paap hai yeh agar toh main paapi hi sahi..
nahin rehna insaan ban kr yeh dil ab chahta hai.

bohut roka khud ko pr ab ruka nahi jata
barso k soye janwar ko ab sulaya nahi jata
maaf kr de aye khuda agar tu kahin basta hai
tere is kainaat ko hrr baar sajaya nahi jata

na mili mohhabat toh ab koshish bhi na karenge
zaalim hai agar wo log toh hum bhi insaan nahi rahenge
maan lo pagal mujhe yeh ilzaam ab darata nahi
keh do unse ki sambhal jaye humse ab sambhla jata nahi

Thursday, March 25, 2010

SACHIN CHALISA

This poem is for the praise of greatest Indian batsman of all times " SACHIN TENDULKAR "

Jai Jai sachin rano ke sagar ,
Kinha bharat naam gujagar,
barsan se cricket me chaye,
duniya bhar me kaam kamaye,
haath bait aur ball viraje,
daadi much french kat saje,
mahavir cricket ke sangi,
jamate pehne shirt tirangi,
bholi surat lagte pyare,
fan tumhare tum par vare,
tum bacho ke lagte mama,
chocalate kha karte ho drama,
par gambhir wicket pe hote,
jagruk ho tum ,kabhi na sote,
Apan bat sambharo aape,
baller sabhi naam se kape,
chota kad ban bada dikhaya,
bade bado ka kiya safaya,
akram vakram mange paani ,
yaad dila di sabki nani,
maar saikade bhar di bhusi,
chocalate to chupke se chusi,
shoiab ko tum dhar dhar patake,
atarah run jhat se jhatke,
break laga ,speed ghata di ,
usko tumne dhul chata di,
hooper ne kuk tumhe banayo ,
tumne usko paath padayo,
shane warne ko maja chakhayo,
sapne me tumharo dar khayo,
kartli ,kortli nikat n aawe,
sachin vir jab six lagawe,
gend har ik baller ki dhun li,
murli lage bajane murli ,
chain gaya,saklain udase,
palte sachin match ke paase,
run ambar tumhare pasa,
bharat ko tumse hi aasa,
tumhare peeche peche lara,
usse badkar tumne mara,
45 hundred khub jamaye,
Ardhashatak anginat jamaye,
run sahastra barah ka parvat,
chad paye kya koi hazrat,
tod record na koi paya,
jo pahad sa sachin banaya,
saath tumhare anil ganguly,
kabhi na uthti tum par ungli,
hai sehwag tumharo chela,
khel rahio hai badiya khela,
tumharo janam usi ne maana,
baccha baccha usko jaana,
Cover drive priya shot tumhara,
Padal shot achanak maara,
Kapil ,Gavaskar kinhi badai ,
tum mama priya tendulkar bhai,
tumme chavi meri jhalkave,
as kahi bradman kanth lagave,
nange sir, balla kar mahi,
shatak maar gaye achraj nahi,
master blaster sahi kahate,
fan prashansa kar nahi aghate,
kai wicket bhi tum le linha,
spin baller achraj kinha,
bade bado ke wicket ukhade,
balling me bhi jhande gaade,
aur cricketer chit na dharai,
sachin sei ball jo dhunai,
sankat se tum sada bachayo,
jab jab bharat dubat payo,
pi pi pepsi chakke maro,
cup jitwa kar bharat taro,
tumse hi hai as hamari,
ladkkhaday na apni paari,
is waqt par rang jama do,
duniya bahr ko sachin dikha do,
tumse badhkar nahi khiladi,
dauda do bharat ki gaadi,
world cup dubara bharat aaye,
dhak vishwa me fir jam jaye !

Doha

Cricket ke sankat haran ,
Shatak jamao Veer,
Cup jeete fir India,
Ude gulal abeer

Hello Everyone

Well this is my blog ,in which I will put some of my shayaris and poem.It may seem a bit uncommon to someone but overall it's fun and if I can make you to smile ,then my work is done ..... !!